Thursday, September 12, 2013

In Cheezon Ki Hifazat Karo

Apnay Khayalon Ki Hifazat Karo,
Kiunkay Ye Tumharay Alfaz Ban Jatay Hain,
Apnay Alfaz Ki Hifazat Karo,
Kiunkay Ye Tumharay Aamaal Ban Jatay Hain,
Apnay Aamaal Ki Hifazat Karo,
Kiunkay Ye Tumharay Kirdar Ban Jatay Hain,
Apnay Kirdar Ki Hifazat Karo,
Kiunkay Tumharay Kirdar Tumhari Pehchan Ban Jatay Hain ,,, ,,, ,,,

Musalman Aur Mohajir Kon Hai

آپ صلی اللہ علیہٰ و آلہٰ و سلم
نے فرمایا
مسلمان وہ ہے جس کی زبان اور ہاتھ سے
مسلمان بچے رہیں اور مہاجر وہ
ہے جو ان کاموں کو چھوڑ دے
جن سے اللہ نے منع فرمایا ہے
صحیح بخاری 10

Wednesday, September 11, 2013

Aameen Kehnay Ki Fazeelat

Nabi Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam
Nay Farmaya :
"Jab Imaam Aameen Kahay To Tum Bhee
Aameen Kaho, To Jiski Aameen Farishton Ki
Aameen Kay Barabar Hogai. To Uskay Guzishta
Gunah Muaaf Ho Gaye."
Muslim:Hadees No.915:Volume No.2

Nazrain Jhuka Kay Chalna

اپنی نظروں کو جھکا
کر چلو تاکہ پتہ چلے یہ
کوئی عام شخص نہیں
محمد صلی اللہ علیہٰ و آلہٰ وسلم کا امتی ہے۔

Tauba Ki Fazeelat

Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam
Nay Farmaya :
"Allah Ta'ala Jab Tum May Say Koi Tauba
Karay To Us Say Zeyada Khush Hota Hai
Jitna Koi Tum May Say Koi Apna Khoya
Hua Janwar Paanay Par Khush Hota Hai."
Muslim : 6953

Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Namaz Ki Taraf Mutawajja Hona

Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam
Ko Jab Koi Mushkil Darpaish Hoti
To Aap Fauran Namaz Ki Taraf Mutawajja
Hotay...
( Abu Dawood : 1319 )

Dua

Itni Si "DUA" Hai Kay Har Aanay
Walay "LAMHAY" May.
Tumhari Duniya May "ROSHNI" Ho.
Tumharay Honton Pay "MUSKURAHAT" Ho.
Tumhari Har Aik "TAMANNA" Har Aik
"KHAWAHISH"
Tumharay "HONTON" Tak Aanay Say
Pehlay Poori Ho.
Aameen...