Showing posts with label Ikhlaqiyat. Show all posts
Showing posts with label Ikhlaqiyat. Show all posts

Wednesday, December 4, 2013

Neend Say Uthnay Kay Baad Ki Dua

Neend Say Uthnay Kay Baad Ki Dua :
Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa
Sallam Jab Neend Say Baidar Hotay
To Ye Parhtay :
" Alhamdulillahil Lazi Ahyana Ba'da Ma
Amatana, Wa Elaihin Nushoor. "
Tarjuma :::
"Tamam Tareef Allah Kay Liye Hai Jis
Nay Hamay Maut Kay Baad Dubara
Zinda Kiya Aur Usi Ki Taraf Ham Nay
Laut Kay Jana Hai."
( Bukhari )

Friday, September 27, 2013

Allah Kay Qareeb Lay Janay Wali Chand Batain

Allah Kay Qareeb Lay Janay Wali Chand Batain ...

i. Ghar Walon Say Khush Ikhlaqi.
ii. Nafs Ki Mukhalfat.
iii. Ghareebon Ki Dil Joi.
iv. Mazloom Ki Imdaad.
v. Beemar Ki Ayadat.
vi. Naik Logon Ki Sohbat.
vii. Waldain Ka Aihtaram.
viii. Mehman Nawazi.
ix. Muaaf Kar Dena.

Tuesday, September 17, 2013

Bullay Shah's Poetry

" Vaikh Aasmaan Tay Ud'day Panchee "
" Na O Karday Rizq Zakheera "
" Na O Pukhay Marday Nay "
" Banday e Karday Rizq Zakheera "
" Banday e Pukhay Marday Nay "

Bullay Shah

Aik Rabb | Kai Banday

Tumhara Aik Rabb Hai ...
Phir Bhee Tum Usay Yaad Nahi Kartay ...
Uskay Kitnay Zayada Banday Hain ...
Phir Bhee Wo Kisi Ko Nahi Bhoolta ...

Surat Al-Talaq Ayat No.4

Aur Jo Allah Ta'ala Say Darta Hai.
Allah Ta'ala Uskay Liye Muamlat
May Aasani Paida Kar Detay Hain
Reference :
Surat Al-Talaq
Ayat No.4

Monday, September 16, 2013

Apnay Musalman Bhai Kay Liye Naik Tamanna Rakhna

Hazrat Muhammad
Salla Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam
Nay Farmaya :
"Tum May Say Koi Shakhs Emaan Daar
Na Hoga Jab Tak Apnay Bhai Kay Liye
Wo Na Chahay Jo Apnay Nafs Kay Liye
Chahta Hai."
Bukhari : 13

Surat Al-Kahaf Ayat No.7

"Jo Cheez Zameen Par Hai
Ham Nay Usko Zameen Kay
Liye Aaraish Banaya Hai...
Takay Logon Ki Aazmaish Karain
Kay In May Kon Achay Aamaal
Karnay Walay Hain."
Al-Quran
Surat Al-Kahaf
Ayat No. 7

Raaton Ko Uthna

Kuch Shak Nahi Kay Raat Ka Uthna
NAFS Ko Sakht Pamal Karta Hai...
Aur Us Waqt Zikar Bhee Khoob
Durust Hota Hai...

Aaj Ki Baat

Aaj Ki Baat
-
"Muqablay Ka Pehla Maidan
Tumhara Apna Nafs Hai...
Uss Say Jang Kar Kay Khud
Ko Aazma Lo Kay Tum Azad
Ho Ya Ghulam..."

Sunday, August 25, 2013

Namaz Kay Baray May

Ustaad Nay Class May Bacho Say Sawal Kiya
Bacho ! Ye Batao Kay Wo Kon Loge
Hain Jo Namaz Nahi Parhtay ?
Aik Bachay Nay Masoomiyat Say Jawab Diya
Kay Jo Loge
" Mar Chukay " Hain.
Doosray Bachay Nay Bari Nidamat Say Jawab
Diya Jin Ko Namaz Parhna Nahi Aati.
Teesray Bachay Nay Bara Logical Jawab Diya
Kay Sir Wo Loge Jo.
Musalman Nahi Hain...!!!
Lamha-e-Fikkriya ... !!!
Zara Sochiye ... !!!

The Most

The Most Destructive Habit " Worry "
The Greatest Joy " Giving "
The Most Satisfying Work " To Make Others Happy "
The Greatest Loss " Losing Self Respect "
The Most Powerful Force In Life " Love "
The Ugliest Personality Trait " Selfishness "
The Worst Thing To Be " Without Hope "
World's Most Incredible Computer " Brain "
The Deadliest Weapon " Tongue "
The Powerful Words " I Can "
Greatest Asset " Faith "
The Most Beautiful Affair " Smile "
The Most Powerful Channel Of Communication " Prayer "

Saturday, August 24, 2013

Very Important

V.Important
Ziyada Tar Loge Kisi
" Nagawar Baat " Par Fauran Kehtay Hain
( MashaALLAH )
For Examplle
Kharab Road Ko Dekh Kar Kehtay Hain.
" Yahan Ki Sarkain Bhee MashaALLAH Hain. "
Kisi Cheez Kay Kharab Honay Par Keh Diya
Hamari Ye Cheez Bhee MashaALLAH Hai.
Etc.
" MashaALLAH Ka Matlab Hai Allah
Nay Kaya Khoob Chaha "
Ye Jumla Allah Ki Tareef Hai.
Aur Nagawar Baton Par Ye Jumla Bole Kar
Ham Allah Par Tanz Kartay Hain...
Jo Kay Kufar Hai...
Please Mohtat Rahain..
JAZAKALLAH..

Allah Ka Dar Aur Acha Ikhlaq

Allah Ka Dar Aur Acha Ikhlaq :
" Hazrat Abu Huraira Razi Ta'ala Anhu Riwayat Kartay Hain Kay
Rasoolullah Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Say Aisay Amal
Kay Baray May Sawal Kiya Gaya Jo Sab Say Zeyada Logon Ko Jannat
May Dakhil Karay Ga ! To Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam
Nay Farmaya
1. Allah Ka Dar.
Aur
2. Acha Ikhlaq.
Bahawala : Tirmizi