Showing posts with label Allah Kay Aihkam. Show all posts
Showing posts with label Allah Kay Aihkam. Show all posts

Friday, November 8, 2013

Sunday, September 29, 2013

Tahajjud

Kuch Shak Nahi Kay
Raat Ka Uthna Nafs Ko
Sakht Pamal Karta Hai
Aur Us Waqy Zikar Bhee
Khoob Durust Hota Hai ...

Friday, September 27, 2013

Allah Kay Qareeb Lay Janay Wali Chand Batain

Allah Kay Qareeb Lay Janay Wali Chand Batain ...

i. Ghar Walon Say Khush Ikhlaqi.
ii. Nafs Ki Mukhalfat.
iii. Ghareebon Ki Dil Joi.
iv. Mazloom Ki Imdaad.
v. Beemar Ki Ayadat.
vi. Naik Logon Ki Sohbat.
vii. Waldain Ka Aihtaram.
viii. Mehman Nawazi.
ix. Muaaf Kar Dena.

Monday, September 23, 2013

Ya Allah ! Don't Let Us Die

Ya Allah ! Don't Let Us Die
Unless We Are True Muslims.

Ya Allah ! Don't Let Us Die
Unless You Are Satisfied With Us.

Ya Allah ! Don't Let Us Die
Unless The Strength Of Imaan Is
What You Want It To Be.

Ya Allah ! Don't Let Us Die
Unless Our Hearts Are Clean.

Ya Allah ! Don't Let Us Die
Unless Our Families With Us.

Ya Allah ! Don't Let Us Die
Unless Everyone That We May Have Hurt
Have Forgiven Us.

Ya Allah ! Don't Let Us Die
Unless Muhammad
Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam
Is Proud Of Us.

Ya Allah ! Don't Let Us Die
Unless Tears In Our Eyes When We Cry
To You Are Crystal Clear.

Ya Allah ! Don't Let Us Die
Unless We Have Received The Key
To Your Garden Of Your Peace.

Aameen Ya Allah ...

Sunday, September 22, 2013

Allah Aur Maut Ka Khauf

Allah Kay Khauf Aur Maut
Kay Khauf Ki Behtareen Misaal...

Azan Ki Awaz Pay Aik Dukan Bhee
Band Nahi Hoti Aur Goli Ki Awaz Pay
Puri Market Band Ho Jati Hai.

Ordinary | Extra Ordinary

Do ordinary For Allah,
He Will Do Extra Ordinary For You.

Do Natural For Allah,
He Will Do Supernatural For You,

Do Possible For Allah,
He Will Do Impossible For You.

Saturday, September 21, 2013

Aye Insaan !!!

Aye Insaan !!!

1. Raat Kay ANDHERAY Say
Dartay Ho, QABAR Say Kiun Nahi ?
2. JANNAT May Jana Chahtay Ho,
MASJID May Kiun Nahi ?
3. Rishwat Detay Ho, GHAREEB Ko
Khana Kiun Nahi ?
4. Duniya Ki Kitabain Parhtay Ho,
QURAN Kiun Nahi.
5. Ganay Gatay Ho, DUROOD Pak
Parhtay Kiun Nahi.
6. Dunyawi Imtehan Kay Liye Sari
Raat Jagtay Ho, AKHRAT Kay Imtehan
May Paas Honay Kay Liye Kiun Nahi.

Wednesday, September 18, 2013

Zikar~e~Khuda

Guzar Rahi Hai Zindagi Zikar-e-Khuda Say Ghafil...
Aye Dil-e-Nadaan Sanbhal Ja Kay Maut Ka Koi Waqt Nahi...

Tera Aik Naam Raheem Bhee Hai

Neend Nahi Aati Apnay Gunahon
Kay Dar Say Ya Rabb...
Phir Yaqeen Say So Jata Hoon...
Ye Soch Kar Kay Tera Aik Naam...
Raheem Bhee Hai...

Jannat ~ Dozakh

Insaan Maut Say Bachnay Ki Koshish Karta Hai...
Jahannum Say Nahi...
Jabkay Koshish Karnay Say Insaan Jahannum
Say Bach Sakta Hai...
Maut Say Nahi...

Zara Sochiye Aur Apnay Aamaal Ko Daikhiye
Kay Aap Kaya Kar Rahay Hain...

Tuesday, September 17, 2013

Gunahon Ka Tasawwur | Allah Par Yaqeen

Mit Jaye Gunahon Ka Tasawwur He Jahan Say.
Agar Ho Ye Yaqeen Kay Koi Daikh Raha Hai.

Aik Rabb | Kai Banday

Tumhara Aik Rabb Hai ...
Phir Bhee Tum Usay Yaad Nahi Kartay ...
Uskay Kitnay Zayada Banday Hain ...
Phir Bhee Wo Kisi Ko Nahi Bhoolta ...

Andheray May Masjid Ki Taraf Paidal Janay Ki Fazeelat

Rasoolullah Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam
Nay Farmaya :
"Khushkhabri Do Qayamat Kay Din
Kamil Noor Ki, Un Logon Ko Jo
Andheron May Masjidon Ki Taraf Paidal
Chal Kar Aatay Hain."
Sunan Abi Dawood
Kitab-us-Salat
Hadees No.561

Behtareen Wazeefa

Subhan Allahi Wabi Hamdihi
Subhan Allahil Azeem

Surat Al-Talaq Ayat No.4

Aur Jo Allah Ta'ala Say Darta Hai.
Allah Ta'ala Uskay Liye Muamlat
May Aasani Paida Kar Detay Hain
Reference :
Surat Al-Talaq
Ayat No.4

Monday, September 16, 2013

Raaton Ko Uthna

Kuch Shak Nahi Kay Raat Ka Uthna
NAFS Ko Sakht Pamal Karta Hai...
Aur Us Waqt Zikar Bhee Khoob
Durust Hota Hai...

Surat Al-Ikhlas

1. Kaho Kay Wo Zaat-e-Paak
Jiska Naam Allah Hai Aik Hai.
2. Mabood-e-Bar Haq Jo Bay
Nayaz Hai.
3. Na Kisi Ka Baap Hai Aur Na
Kisi Ka Baita.
4. Aur Koi Uska Hamsar Nahi.

Sadqay Ki Aihamiyat

Nabi Kareem Sallal Laho Alaihi
Wa Aalihi Wa Sallam Nay Farmaya :
"Beshak Sadqa Allah Kay Ghussay
Ko Thanda Karta Hai Aur Buri
Maut Say Bachata Hai."
( Tirmizi )

Saturday, September 7, 2013

In.Sha.Allah Kehnay Ka Hukam

" Aur Kisi Kaam Ki Nisbat Ye Na Kehna
Kay Mein Isay Kal Kar Doonga. Magar
( InshaALLAH Keh Kar Yani Agar )
KHUDA Chahay To ( Kardoonga )
Aur Jab Khuda Ka Naam Lena Bhool Jao To,
Yaad Aanay Par Lay Lo Aur Keh Do Kay
Mujhay Umeed Hai Kay Mera Parwrdigar
Mujhay Iss Say Bhee Zeyada Hidayat Ki
Batain Bataye. "
Surat Al-Kahaf : 23-24

Khuda Kon Hai

Jaan Jis May Hai Usay Rizq Khuda Deta Hai ,,,
Wo To Keeray May Bhee Pathar Ko Ghiza Deta Hai ,,,
Din Ko Sooraj Ko Zamanay Ko Zeya Deta Hai ,,,
Raat Ko Aasmaan Chand Taaron Say Saja Deta Hai ,,,
Gharq Kar Deta Hai Fir'on Kay Lashkar Ko ,,,
Wo Qafila-e-Moosa Ko Paar Laga Deta Hai ,,,
Aag May Daal Diye Jatay Hain Aashiq Uskay ,,,
Aur
Wo Aag Ko Gulzar Bana Deta Hai ,,,
Wo Azal Say Hai Aur Abad Tak Rahay Ga ,,,
Ussi Par Emaan ! Insaan Ko Musalman Bana Deta Hai !!!
SubhanALLAH