Showing posts with label Hadees Messages. Show all posts
Showing posts with label Hadees Messages. Show all posts

Wednesday, December 4, 2013

Neend Say Uthnay Kay Baad Ki Dua

Neend Say Uthnay Kay Baad Ki Dua :
Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa
Sallam Jab Neend Say Baidar Hotay
To Ye Parhtay :
" Alhamdulillahil Lazi Ahyana Ba'da Ma
Amatana, Wa Elaihin Nushoor. "
Tarjuma :::
"Tamam Tareef Allah Kay Liye Hai Jis
Nay Hamay Maut Kay Baad Dubara
Zinda Kiya Aur Usi Ki Taraf Ham Nay
Laut Kay Jana Hai."
( Bukhari )

Sunday, September 29, 2013

Bakheel | Sakhi

Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam
Nay Farmaya :
" Koi Din Aisa Nahi Guzarta Kay Jab Banday
Subha Ko Uth'tay Hain, To 2 Farishtay Aasmaan
Say Na Utartay Hon, Aik Farishta To Ye Kehta
Hai Kay Aye Allah Kharch Karnay Walay Ko
Iska Badla Day, Aur Doosra Farishta Kehta Hai,
Aye Allah Bakheel Kay Maal Ko Talf Kar Day.

Sahih Al-Bukhari : 1442

Monday, September 23, 2013

Allah Ki Maar

" Allah Ki Maar Ho Yahoodiyon Par
Jinho Nay Anbiya Ki Qabron Ko
Ibadat Gaah Bana Liya. "

Sahih Al Bukhari : 426

Tuesday, September 17, 2013

Andheray May Masjid Ki Taraf Paidal Janay Ki Fazeelat

Rasoolullah Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam
Nay Farmaya :
"Khushkhabri Do Qayamat Kay Din
Kamil Noor Ki, Un Logon Ko Jo
Andheron May Masjidon Ki Taraf Paidal
Chal Kar Aatay Hain."
Sunan Abi Dawood
Kitab-us-Salat
Hadees No.561

Monday, September 16, 2013

Apnay Musalman Bhai Kay Liye Naik Tamanna Rakhna

Hazrat Muhammad
Salla Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam
Nay Farmaya :
"Tum May Say Koi Shakhs Emaan Daar
Na Hoga Jab Tak Apnay Bhai Kay Liye
Wo Na Chahay Jo Apnay Nafs Kay Liye
Chahta Hai."
Bukhari : 13

Sadqay Ki Aihamiyat

Nabi Kareem Sallal Laho Alaihi
Wa Aalihi Wa Sallam Nay Farmaya :
"Beshak Sadqa Allah Kay Ghussay
Ko Thanda Karta Hai Aur Buri
Maut Say Bachata Hai."
( Tirmizi )

Friday, September 13, 2013

Azan Ka Jawab

Rasoolullah Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam
Nay Farmaya :
"Jab Tum Azan Suno,
To Isi Tarha Kaho Jaisay Moazzin
Kehta Hai."
Sahih Al-Bukhari : Kitab-ul-Azaan

Kon Sa Islam Behtar Hai

ایک دن آنحضرت
محمد صلی اللہ علیہٰ و آلہٰ وسلم
سے ایک آدمی نے پوچھا
کہ کون سا اسلام بہتر ہے ؟
فرمایا کہ تم کھانا کھلاو،
اور جس کو پہچانو اس کوبحی
اور جس کو نہ پہچانے اس کو بھی
الغرض سب کو سلام کرو۔
صحیح البخاری : 12

Thursday, September 12, 2013

Musalman Aur Mohajir Kon Hai

آپ صلی اللہ علیہٰ و آلہٰ و سلم
نے فرمایا
مسلمان وہ ہے جس کی زبان اور ہاتھ سے
مسلمان بچے رہیں اور مہاجر وہ
ہے جو ان کاموں کو چھوڑ دے
جن سے اللہ نے منع فرمایا ہے
صحیح بخاری 10

Wednesday, September 11, 2013

Aameen Kehnay Ki Fazeelat

Nabi Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam
Nay Farmaya :
"Jab Imaam Aameen Kahay To Tum Bhee
Aameen Kaho, To Jiski Aameen Farishton Ki
Aameen Kay Barabar Hogai. To Uskay Guzishta
Gunah Muaaf Ho Gaye."
Muslim:Hadees No.915:Volume No.2

Tauba Ki Fazeelat

Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam
Nay Farmaya :
"Allah Ta'ala Jab Tum May Say Koi Tauba
Karay To Us Say Zeyada Khush Hota Hai
Jitna Koi Tum May Say Koi Apna Khoya
Hua Janwar Paanay Par Khush Hota Hai."
Muslim : 6953

Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Namaz Ki Taraf Mutawajja Hona

Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam
Ko Jab Koi Mushkil Darpaish Hoti
To Aap Fauran Namaz Ki Taraf Mutawajja
Hotay...
( Abu Dawood : 1319 )

Monday, September 9, 2013

Aurat | Mard | Mushabehat Ka Gunah

Rasoolullah Sallal Laho Alaihi
Wa Aalihi Wa Sallam Nay Lanat Farmai
Hai Unn Mardon Par Jo Auraton Ki
Maushabehat Ikhteyar Karain
Aur Unn Auraton Par Jo Mardon Ki
Mushbehat Ikhtiyar Karain.
( Sahih Bukhri : 5885 )

Bakheel | Sakhi

Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam
Nay Farmaya :
" Koi Din Aisa Nahi Jata Kay Jab Banday
Subha Ko Uth'tay Hain To 2 Farishtay Aasmaan
Say Na Utartay Hon - Aik Farishta To Ye Kehta
Kay Aye Allah, Kharch Karnay Walay Ko Iska
Badla Day - Aur Doosra Kehta Hai Kay
Aye Allah, Bakheel Kay Maal Ko Talf Kar Day. "
( Sahih Bukhari : 1442 )

Saturday, September 7, 2013

Duniya | Qaid Khana | Jannat

Duniya Momin Kay Liye Qaid Khana
Aur Kafiron Kay Liye Jannat Hai.
Sahih Muslim : 2956

Wednesday, September 4, 2013

Kamyabi Ka Paigham

Lab Pay Hadeeso Ki Rawani Lay Chal,
Seenay May Aayaat-e-Qurani Lay Chal,
Agar Milna Ho Bagh-e-Jannat May,
To Paishani Pay Sajday Ki Nishani Lay Chal,
Agar Zinda Rehna Hai 2 Jahanon May,
To Allah Ki Raah May Apni Jawani Lay Chal,

Sulah Karwanay Ki Fazeelat

Nabi Kareem Sallal Laho Alaihi Wa
Aalihi Wa Sallam Nay Farmaya :
" 2 Aadmiyon Kay Darmeyan Sulah
Karwana Namaz, Rozay Aur Sadqay Say Bhee
Zeyada Afzal Hai. "
( Sahih Al-Bukhari )

Mazloom Ki Bad Dua

Nabi Kareem Sallal Laho Alaihi
Wa Aalihi Wa Sallam Nay Farmaya :
Mazloom Ki Bad Dua Say Bacho
Kiunkay Uss Kay Aur Allah Kay Darmeyan
Koi Cheez Hayal Nahi.
( Sahih Al-Bukhari )

Tuesday, September 3, 2013

Qata Talluq

Musalman Kay Liy Jayez Nahi
Kay 3 Din Say Zeyada Apnay  Bhai Say
Qata Talluq Rakhay.
Hadees

Monday, September 2, 2013

Hadees

Nabi Kareem Sallal Laho Alaihi Wa
Aalihi Wa Sallam nay Farmaya :
" Kisi Insaan Kay Dil May Emaan
Aur Hasad Aik Sath Nahi Reh Saktay "
Sahih Al-Bukhari