Saturday, September 7, 2013

Hazrat Yusuf Alaihissalam Ki Dua

Yusuf Alaihissalam Nay Dua Ki
Aye Parwrdigar Jis Kaam Ki Taraf
Mujhay Ye Bulati Hain.
Iski Nisbat Mujhay Qaid Pasand Hai.
Aur Agar Tu Mujh Say Inkay Faraib
( Makar ) Ko Na Hataye Ga To Mein
Inki Taraf Mayel Ho Jaoon Ga Aur
Na Danon May SAy Ho Jaoon Ga
To Allah Nay Inki Dua Qubool Kar Li
Aur Inn Say Auraton Ka Makar Rafa
Kar Diya
Beshak Wo Sun'nay Wala Jan'nay Wala
Hai.
Surat Al-Yusuf : 33-34

Auraton Ka Hath Katna

" Aur Badshah Nay Hukam Diya Kay
Yusuf Ko Meray Paas Lay Aao,
Jab Qasid Unkay Paas Gaya To Unho ( Yani Yusuf )
Nay Kaha Kay Apnay Aaqa Kay Paas Wapis Jao
Aur Un Say Poocho Un Auraton Ka Kaya
Haal Hai Jinho Nay Apnay Hath
Kaat Liye Thay. Beshak Mera Parwardigar
In Kay Makron Say Khoob Waqif Hai. "
Surat Al-Yusuf : 50

In.Sha.Allah Kehnay Ka Hukam

" Aur Kisi Kaam Ki Nisbat Ye Na Kehna
Kay Mein Isay Kal Kar Doonga. Magar
( InshaALLAH Keh Kar Yani Agar )
KHUDA Chahay To ( Kardoonga )
Aur Jab Khuda Ka Naam Lena Bhool Jao To,
Yaad Aanay Par Lay Lo Aur Keh Do Kay
Mujhay Umeed Hai Kay Mera Parwrdigar
Mujhay Iss Say Bhee Zeyada Hidayat Ki
Batain Bataye. "
Surat Al-Kahaf : 23-24

Duniya | Qaid Khana | Jannat

Duniya Momin Kay Liye Qaid Khana
Aur Kafiron Kay Liye Jannat Hai.
Sahih Muslim : 2956

313 Ka Lashkar

Wo 313 Thay To Larazta Tha Zamana ...
Aaj Ham Karoron Hain To Kartay Hain Ghulami ...
6th September
Yaum-e-Difa-e-Pakistan

Khuda Kon Hai

Jaan Jis May Hai Usay Rizq Khuda Deta Hai ,,,
Wo To Keeray May Bhee Pathar Ko Ghiza Deta Hai ,,,
Din Ko Sooraj Ko Zamanay Ko Zeya Deta Hai ,,,
Raat Ko Aasmaan Chand Taaron Say Saja Deta Hai ,,,
Gharq Kar Deta Hai Fir'on Kay Lashkar Ko ,,,
Wo Qafila-e-Moosa Ko Paar Laga Deta Hai ,,,
Aag May Daal Diye Jatay Hain Aashiq Uskay ,,,
Aur
Wo Aag Ko Gulzar Bana Deta Hai ,,,
Wo Azal Say Hai Aur Abad Tak Rahay Ga ,,,
Ussi Par Emaan ! Insaan Ko Musalman Bana Deta Hai !!!
SubhanALLAH

Friday, September 6, 2013

Neki | Gunah

Gunah May Lazzat Bohat Hai ,,,
Magar Bay Sukooni Uss Say Bhee Zeyada Hai ,,,

Neki May Lazzat Kam Hai ,,,
Lekin Sukoon Had Say Zeyada Hai ,,,