Sunday, August 25, 2013

21st April

Iqbal Says
Aye Khasa-e-Khasan-e-Rusul Waqt-e-Dua Hai ...
Ummat Pay Teri Aa Kay Ajab Waqt Para Hai ...
Jo Deen Bari Shaan Say Nikla Tha Watan Say ...
Pardais May Wo Aaj Ghareeb-ul-Ghurba Hai ...
Choton Pay Ita'at Na Shafqat Hai Baron May ...
Apnon May Mohabbat Hai Na Yaron May Wafa Hai ...
Daikhay Hain Ye Din Apni Hi Ghaflat Ki Badolat ...
Sach Hai Kay Buray Kaam Ka Anjam Bura Hai ...
Jo Kuch Bhee Hai Sab Apnay He Hathon Kay Hain Kartoot ...
Shikwa Hai Zamanay Ka Na Qismat Say Gila Hai ...
Faryad Hai Aye Kishti-e-Ummat Kay Nigehban ...
Baira Ye Tabahi Kay Qareeb Aan Laga Hai ...
21st April | Barsi-e-Iqbal

Respect Blind People

" I Respect Blind People
Because
They Judge Others
By Their Behaviour
Not By Their Looks. "
( Shakespear )

Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Ki Itteba Karna

Aik Martaba Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam
Jumay Kay Roze Khutba Denay Kay Liye Minber Par Tashreef Laye
To Farmaya, Logo !
Baith Jao, Hazrat Abdullah Bin Masood Razi Allahu Ta'ala Anhu Nay
Suna To Masjid Kay Darwazay Par He Baith Gaye.
Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Nay Dekha
To Farmaya Masjid Kay Andar Aa Kar Baitho...
Abu Dawood : 203

Namaz Kay Baray May

Ustaad Nay Class May Bacho Say Sawal Kiya
Bacho ! Ye Batao Kay Wo Kon Loge
Hain Jo Namaz Nahi Parhtay ?
Aik Bachay Nay Masoomiyat Say Jawab Diya
Kay Jo Loge
" Mar Chukay " Hain.
Doosray Bachay Nay Bari Nidamat Say Jawab
Diya Jin Ko Namaz Parhna Nahi Aati.
Teesray Bachay Nay Bara Logical Jawab Diya
Kay Sir Wo Loge Jo.
Musalman Nahi Hain...!!!
Lamha-e-Fikkriya ... !!!
Zara Sochiye ... !!!

Takhnon Say Neechay Shalwar Latkanay Ka Hukam

Sufyan Bin Sahal Ko Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam
Nay Farmaya :
" Aye Sufyan ! Azaar ( Kapra, Shalwar, Tehband Etc. )
Takhnon Say Neechay Na Latkaya Kar,
Kiunkay Allah Ta'ala Azaar Latkanay Walon Ko Pasand Nahi Karta. "
Sisila-e-Sahiha : 1951

The Most

The Most Destructive Habit " Worry "
The Greatest Joy " Giving "
The Most Satisfying Work " To Make Others Happy "
The Greatest Loss " Losing Self Respect "
The Most Powerful Force In Life " Love "
The Ugliest Personality Trait " Selfishness "
The Worst Thing To Be " Without Hope "
World's Most Incredible Computer " Brain "
The Deadliest Weapon " Tongue "
The Powerful Words " I Can "
Greatest Asset " Faith "
The Most Beautiful Affair " Smile "
The Most Powerful Channel Of Communication " Prayer "

Golden Words

Golden Words
" Burai " Ko Khud Mein
Aur
" Achai " Ko Doosron Mein
Talash Karo.
Yehi Insaan Ki Sab Say Bari " Islaah " Hai...

Saturday, August 24, 2013

Safar Kay Mahinay Kay Baray May

Zamana-e-Jahiliyat May Kuch Logon Ka Aqeedah
Tha Kay Safar Ka Maheena Manhoos Hota Hai.
To Rasoolullah Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam
Nay Farmaya :
" Safar Kay Maheenay May Koi Nahoosat/Bad-Shagooni
Nahi Hai. "
Bukhari Vol 7, Kitab-ul-Tibb, Hadees 5757

Nematain

Maal Ki " Farawani "
Bari Nemat Hai,
Aur
Is Say Behtar " Tandurusti " Hai
Aur
Uss Say Bhee Behtar " Taqwa-e-Qalb " Hai
Juma Mubarik
Recite Surah-e-Kahaf And Durood Shareef More And More.

Very Important

V.Important
Ziyada Tar Loge Kisi
" Nagawar Baat " Par Fauran Kehtay Hain
( MashaALLAH )
For Examplle
Kharab Road Ko Dekh Kar Kehtay Hain.
" Yahan Ki Sarkain Bhee MashaALLAH Hain. "
Kisi Cheez Kay Kharab Honay Par Keh Diya
Hamari Ye Cheez Bhee MashaALLAH Hai.
Etc.
" MashaALLAH Ka Matlab Hai Allah
Nay Kaya Khoob Chaha "
Ye Jumla Allah Ki Tareef Hai.
Aur Nagawar Baton Par Ye Jumla Bole Kar
Ham Allah Par Tanz Kartay Hain...
Jo Kay Kufar Hai...
Please Mohtat Rahain..
JAZAKALLAH..

4 Golden Rules For A Successful Life

( 4 Golden Rules For A Successful Life )

  1. Be Honest When In Poverty.
  2. Be Simple When In Wealth.
  3. Be Polite When In Authority.
  4. Be Silent When In Anger.

Allah Ka Dar Aur Acha Ikhlaq

Allah Ka Dar Aur Acha Ikhlaq :
" Hazrat Abu Huraira Razi Ta'ala Anhu Riwayat Kartay Hain Kay
Rasoolullah Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Say Aisay Amal
Kay Baray May Sawal Kiya Gaya Jo Sab Say Zeyada Logon Ko Jannat
May Dakhil Karay Ga ! To Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam
Nay Farmaya
1. Allah Ka Dar.
Aur
2. Acha Ikhlaq.
Bahawala : Tirmizi

Aamaal Ki Qubooliyat

Rasoolullah Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Aalihi Wa Sallam
Nay Farmaya "
" Aamaal Ki Qubooliyat Ka Inhesar Aadmi Kay
Akhri Kamon Par Hai. "
Sahih Al-Bukhari
Hadees No. 6607

Ghaneemat

Ghaneemat Hai Sehat Alalat Say Pehlay ...
Faraghat Mashagel Ki Kasrat Say Pehlay ...
Jawani Burhapay Ki Zehmat Say Pehlay ...
Aqamat Musafir Ki Rehlat Say Pehlay ...
Faqeeri Say Pehlay Ghaneemat Hai Daulat ...

Jo Karna Hai Kar Lo Kay Thori Hai Mohlat.

Manzilain

Manzilon Ka Gham Karnay Say Manzilain Nahi Milteen ...
Hauslay Bhee Toot Jatay Hain Aksar Udas Rehnay Say ...

Allah Ki Raah May Kharch Karna

" Allah Ki Raah May Kharch Karo
Aur Apnay Aap Ko Halakat May
Na Daalo, Aur Neki Karo, Beshak Allah
Neki Karnay Walon Ko Pasand Karta Hai. "
Holy Quran ( 02:195 )

Iftar Message

Hadees :
" Iftari Kay Waqt Roza Dar
Ki Dua Radd Nahi Ki Jati. "
Sunan Ibn-e-Majah
Hadees No. 1753

Muqablay Ka Maidan

Muqablay Ka Pehla Maidan
Tumhara Apna NAFS Hai
Uss Say Jang Kar Kay Khud Ko Azma Lo
Kay Azaad Ho Ya Ghulam.

Hadees Shareef

Lazzaton Ko Khatam Kar Denay
Wali "Maut" Ko ...
Kasrat Say Yaad Kiya Karo..
( Sahih Bukhari )

Nice Saying

Nice Saying :
Meri EID To Uss Din Hogi ...
Jab Mein Duniya Say Emaan Ki Salamti Kay Sath Jaoon Ga ...

Tuesday, August 20, 2013

Bint-e-Aadam | Bint-e-Hawwa

Bint-e-Hawwa Nay Khol Rakha Hai Bazar-e-Gunah ...
Ibn-e-Aadam Hai Gunehgar, Khuda Khair Karay ...

A Silent Message For All Young Boys And Girls !!

Sunday, August 11, 2013

EID Message

EID Greetings To You And Your Family. May ALLAH Bless You Health, Wealth And Prosperity And May This Auspicious Occasion Bring A Lot Of Happiness To You And Your Family.

Rabb Aur Ham

Rabb Nay SOOD Say Roka ,
Ham Nay BANK Bana Liye ,

Rabb Nay ZINA Say Roka ,
Ham Nay CLUB Bana Liye ,

Rabb Nay PARDAY Ka Hukam Diya ,
Ham Nay TV, DVD, DISH Laga Kay BAY HAYAI Ko Aam Kar Diya ,

Rabb Nay Kaha QURAN May FALAH Hai ,
Ham OXFORD Ki Kitabon May FALAH Dhoondnay Lagay ,

Rabb Nay JHOOT Say Roka ,
Ham APRILFOOL Mananay Lagay ,

Rabb Nay BURHAPAY May MAA BAAP Ki KHIDMAT Karnay Ka HUKAM Diya ,
Ham Nay OLD HOMES Bana Diye ,

Aaj Ham Isi Liye ZALEEL-o-KHAAR Hain Kay Jisko Razi Karna Hai Ham Usi Ko Naraz Kar Rahay Hain. To Phir REHMAT Aur Barkat Kahan Say Aaye Gee ??

Assalam.o.Alaikum

On This Page You Will Find Huge Collection Of Messages On Eid-ul-Fitr, Eid-ul-Azha, Independence Day, Defense Day, Iqbal Day And Other Occasions. Join And Share To Receive More Updates ...