Wednesday, September 18, 2013

Jannat ~ Dozakh

Insaan Maut Say Bachnay Ki Koshish Karta Hai...
Jahannum Say Nahi...
Jabkay Koshish Karnay Say Insaan Jahannum
Say Bach Sakta Hai...
Maut Say Nahi...

Zara Sochiye Aur Apnay Aamaal Ko Daikhiye
Kay Aap Kaya Kar Rahay Hain...

Tuesday, September 17, 2013

Gunahon Ka Tasawwur | Allah Par Yaqeen

Mit Jaye Gunahon Ka Tasawwur He Jahan Say.
Agar Ho Ye Yaqeen Kay Koi Daikh Raha Hai.

Bullay Shah's Poetry

" Vaikh Aasmaan Tay Ud'day Panchee "
" Na O Karday Rizq Zakheera "
" Na O Pukhay Marday Nay "
" Banday e Karday Rizq Zakheera "
" Banday e Pukhay Marday Nay "

Bullay Shah

Marhaba Ramzan

Marhaba Sad Marhaba Phir Aamad-e-Ramzan Hai ..
Khil Uthay Murjhaye Dil Taza Hua Phir Emaan Hai ..
Ham Gunahgaron Pay Kitna Bara Ahsaan Hai ..
Ya Rabb ! Tunay Ata Kar Diya Phir Ramzan Hai ..

Aik Rabb | Kai Banday

Tumhara Aik Rabb Hai ...
Phir Bhee Tum Usay Yaad Nahi Kartay ...
Uskay Kitnay Zayada Banday Hain ...
Phir Bhee Wo Kisi Ko Nahi Bhoolta ...

Koi Mutbadil Nahi

"ZAMZAM" Jaisa Koi Pani Nahi..
"NAMAZ" Jaisi Koi Ebadat Nahi..
"HAJJ" Jaisi Koi Ziyarat Nahi..
"ISLAM" Jaisa Koi Mazhab Nahi..
"QURAN" Jaisi Koi Kitab Nahi..
"MADINA" Jaisa Koi Shehar Nahi..
"KALMAY" Jaisi Koi Daulat Nahi..
"DUROOD" Jaisa Koi Khazan Nahi..
Aur
"RAMZAN" Jaisa Koi Mahina Nahi..

Andheray May Masjid Ki Taraf Paidal Janay Ki Fazeelat

Rasoolullah Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam
Nay Farmaya :
"Khushkhabri Do Qayamat Kay Din
Kamil Noor Ki, Un Logon Ko Jo
Andheron May Masjidon Ki Taraf Paidal
Chal Kar Aatay Hain."
Sunan Abi Dawood
Kitab-us-Salat
Hadees No.561